Kuchh Dil Ne Kaha Kuchh Bhi Nahi Lyrics | Anupama | Lata Mangeshkar | Hemant Kumar

Kuchh Dil Ne Kaha Kuchh Bhi Nahi Lyrics | Anupama | Lata Mangeshkar | Hemant Kumar

Kuchh dil ne kaha
Kuchh bhi nahi
Kuchh dil ne suna
Kuchh bhi nahi
Aise bhi baate hoti hai
Aise bhi baate hoti hai
Kuchh dil ne kaha
Kuchh bhi nahi

Leta hai dil angadaiya
Is dil ko samjhaaye koi
Armaan naa aankhe khol de
Rusvaa naa ho jaaye koi
Palko ki thandi sej par
Sapno ki pariyaa soti hai
Aise bhi baate hoti hai
Aise bhi baate hoti hai
Kuchh dil ne kaha
Kuchh bhi nahi

Dil ki tassali ke liye
Jhuthi chamak jhutha nikhaar
Jivan to suna hi raha
Sab samjhe aayi hai bahaar
Kaliyon se koi puchhta
Hasti hai vo ya roti hai
Aise bhi baate hoti hai
Aise bhi baate hoti hai
Kuchh dil ne kaha
Kuchh bhi nahi
Kuchh dil ne suna
Kuchh bhi nahi

MovieAnupama
SingerLata Mangeshkar
DirectorHrishikesh Mukherjee
Music ComposerHemant Kumar
LyricistKaifi Azmi
Star CastDharmendra, Sharmila Tagore, Tarun Bose, Deven Verma, Shashikala, David, Durga Khote, Dulari, Surekha, Naina, Amar, R P Kapoor, Desai, Rajdeep, Usmani, Chandra

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *