Ku-ba-ku phail ga_i baat shanaashaa_i ki
Usane khushbu ki tarah meri paziraa_i ki
shanaashaa_i: parichay
paziraa_i: istekbaal
Swaagat
Welcome
Kaise kah dun ke mujhe chhod diyaa hai usane
Baat to sach hai magar baat hai rusvaa_i ki
Teraa pahalu tere dil ki tarah aabaad rahe
Tujhape guzare na qayaamat shab-e-tanhaa_i ki
Wo kahi bhi gayaa lautaa to mere paas aayaa
Bas yahi baat hai achchhi mere harajaa_i ki
Usane jalati hu_i peshaani pe jab haath rakhaa
Ruh tak aa ga_i taasir masihaa_i ki
| Movie | Non-film (Mehdi Hassan) |
| Singer | Mehdi Hassan |
