Koi Jab Pyar Karta Hai Lyrics | Humdam | Suresh Wadkar | Ghanshyam

Koi Jab Pyar Karta Hai Lyrics | Humdam | Suresh Wadkar | Ghanshyam

Koi jab pyar karta hai khuda bhi muskuraata hai
Koi jab pyar karta hai khuda bhi muskuraata hai
Mohabbat karne waalo par use bhi pyaar aata hai
Koi jab pyar karta hai

Bahut kuch sochkar usne ye buniyaade jaha rakhi
Jaha jo cheej rakhani thi salike se waha rakhi
Sikhaaya aadami ko aadami se guftgu karna
Mohabbat ke liye lekin khamoshi ki juba rakhi
Wo in khaamoshiyo se ek din nagme banaata hai
Koi jab pyar karta hai khuda bhi muskuraata hai
Koi jab pyar karta hai

Wo dil ki dhadakano ke rang ko pahchaane waala
Tadap kis dil me kitani hai wo sab kuch jsaanane waala
Wo kahta hai mujhe beshq koi maane ya naa maane
Mohabbat ko agar koi khuda hai maanane waala
Jaha dekhe mohabbat ko wo khud bhi ser jhukaata hai
Koi jab pyar karta hai khuda bhi muskuraata hai
Koi jab pyar karta hai

MovieHumdam
SingerSuresh Wadkar
Music ComposerGhanshyam
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *