Kisine Bhee Toh Naa Dekha Nigah Bharke Mujhe Lyrics | Film Hits – Pankaj Udhas | Pankaj Udhas

Yeh aarju thee ke hanskar koyee mila hota
Kahee toh hamse kisee kaa dil aashana hota

Kisine bhee toh naa dekha nigah bharke mujhe – (2)
(Gaya phir aaj kaa din bhee udas karke mujhe
Kisine bhee toh naa dekha nigah bharke mujhe) – (2)

Sawa bhee layee naa koyee payam apnon kaa – (2)
Suna rahee hai fasane idhar udhar ke mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhee udas karke mujhe
Kisine bhee toh naa dekha nigah bharke mujhe

Mauf kijiye, jo mai ajnabee hu mehfil me – (2)
Ke raste nahee maloom iss nagar ke mujhe
Gaya phir aaj kaa din bhee udas karke mujhe
Kisine bhee toh naa dekha nigah bharke mujhe

Woh dard hai ke jisse seh saku naa keh paun – (2)
Milega chain toh abb jan se gujarke mujhe
(Gaya phir aaj kaa din bhee udas karke mujhe
Kisine bhee toh naa dekha nigah bharke mujhe) – (2)
Nigah bharke mujhe, nigah bharke mujhe

MovieFilm Hits - Pankaj Udhas
SingerPankaj Udhas

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *