Kisi ki yaad mere aas paas rehati hain – 2
Bahot dino se tabiyat udaas rehati hain
Kisi ki yaad mere aas paas rehati hain
Bichhad gaya hai magar dil ye maanata hi nahi – 3
Na jaane kyon tere milane ki aas rehati hai – 2
Bahot dino se tabiyat udaas rehati hain
Kisi ki yaad mere aas paas rehati hain
Chhudake haath agar chal diya to hairat kyon – 3
Khushi hamesha yaha kisake paas rehati hai – 2
Bahot dino se tabiyat udaas rehati hain
Kisi ki yaad mere aas paas rehati hain
Tu apani aib chhupaane chala to hai lekin – 3
Har aaine ki nazar belibaas rehati hai – 2
(Bahot dino se tabiyat udaas rehati hain
Kisi ki yaad mere aas paas rehati hain) – 2
| Movie | Ranjish - Pankaj Udhas |
| Singer | Pankaj Udhas |