Khumaar E Gam Hai, Tere Kayaal Ki Aab O Hawaa Lyrics | Leela | Jagjit Singh | Jagjit Singh

Khumaar E Gam Hai, Tere Kayaal Ki Aab O Hawaa Lyrics | Leela | Jagjit Singh | Jagjit Singh

Khumar-e-gam hai mahakti fiza me jeete hai
Khumar-e-gam hai mahakti fiza me jeete hai
Tere khayal ki aabo hawa me jeete hai
Khumar-e-gam hai mahakti fiza me jeete hai

Bade tapaak se milte hai milne wale mujhe
Bade tapaak se milte hai milne wale mujhe
Wo mere dost hai teri wafa me jeete hain
Tere khayal ki aabo hawa me jeete hai
Khumar-e-gam hai mahakti fiza me jeete hai

Firaaq-e-yaar me saanso ko roke rakhte hai
Firaaq-e-yaar me saanso ko roke rakhte hai
Har ek lamha gujarti kaza me jeete hai
Tere khayal ki aabo hawa me jeete hai
Khumar-e-gam hai mahakti fiza me jeete hai

Na baat puri huyi thi ke raat tut gayi
Na baat puri huyi thi ke raat tut gayi
Adhure khaab ki aadhi saza me jeete hai
Tere khayal ki aabo hawa me jeete hai
Khumar-e-gam hai mahakti fiza me jeete hai

Tumhari baato me koi masiha basta hai
Tumhari baato me koi masiha basta hai
Hasi labo se barasti shafa me jeete hai
Tere khayal ki aabo hawa me jeete hai
Khumar-e-gam hai mahakti fiza me jeete hai
Tere khayal ki aabo hawa me jeete hai

MovieLeela
SingerJagjit Singh
Music ComposerJagjit Singh
LyricistGulzar
Star CastDimple Kapadia, Deepti Naval, Vinod Khanna, Gulshan Grover

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *