Kaamosh zindagii ko aavaaz de rahe ho
Tuute hue haatho.n me.n kyuu.n saaz de rahe ho
Kaamosh zindagii ko …
Benuur merii aa.nkhe.n aur duur kaa safar hai
Uthate hai.n paa.nv lekin gir jaane kaa bhii dar hai 2
Par kaat ke kisii ke paravaaz de rahe ho
Kaamosh zindagii ko …
Aa.nkho.n se bahataa dariyaa ho.ntho.n pe aah lekar
Saahil pe ham kha.de hai.n saahil kii chaah lekar 2
Barbaad mohabbat ko nae andaaz de rahe ho
Kaamosh zindagii ko …
| Movie | Naag Mandir |
| Singer | Mohammed Rafi |
| Director | Shantilal Soni |
| Music Composer | Laxmikant Pyarelal |
| Lyricist | Shiv Kumar Saroj |
| Star Cast | Mahipal, Vijay Choudhary, Indira, B M Vyas |

