Kehate Hai Chaand Jisako Lyrics | Sanjog (1961) | Asha Bhosle | Madan Mohan

(Kehate hai chaand jisako tumase nahi woh pyaara
Dekhe use yeh duniya mujhako nahi gawaara) – (2)

(Najarein jo tum uthaao har cheej muskuraaye
Palakein jo tum jhukaao taaron ko nind aaye) – (2)
Duniya bhi saath dole dhadake jo dil tumhaara
Kehate hai chaand jisako tumase nahi woh pyaara

(Ik baat tumase puchhu tum kaun ho hamaare
Dil mein sama rahe ho hum kaun hai tumhaare) – (2)
Kar do na muskuraake halaka sa ik ishaara
Kehate hai chaand jisako tumase nahi woh pyaara

(Saathi agar hasin ho kya baat phir safar ki
Manjil udhar ko aayi tumane jidhar najar ki) – (2)
Dil jab bhi dagmagaaya tum ban gaye sahaara
Kehate hai chaand jisako tumase nahi woh pyaara – (2)
Dekhe use yeh duniya mujhako nahi gawaara
Mujhako nahi gawaara

MovieSanjog (1961)
SingerAsha Bhosle
Music ComposerMadan Mohan
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *