Kash Main Koi Panchhi Hota Lyrics  | Maarg | Vinod Khanna, Hema Malini | Mohammed Aziz | Anu Malik

Kash Main Koi Panchhi Hota Lyrics | Maarg | Vinod Khanna, Hema Malini | Mohammed Aziz | Anu Malik

Kash main koi panchhi hota
Yaa hota banjara
Basti basti parbat parbat
Phirta main aawaara
Kash main koi panchhi hota
Yaa hota banjara
Basti basti parbat parbat
Phirta main aawaara
Kash main koi
Panchhi hota ho ho ho

Mast hawa ka jhula jhuloon
Ud ke neel gagan ko chhoon loon
O mast hawa ka jhula jhuloon
Ud ke neel gagan ko chhoon loon
Main hoon is dharti ka bhedi
Is sach ko main kaisi bhuloon
Kash main koi baadal hota
Yaa aakash ka taara
Basti basti parbat parbat
Phirta main aawaara
Kash main koi
Panchhi hota ho ho ho

Barso se bechain pada hoon
Raste mein patthar sa pada hoon
Barso se bechain pada hoon
Raste mein patthar sa pada hoon
Yaad nahin main jaane kab se
Ek jagaah par yahin khada hoon
Kash main koi maajhi hota
Yaa nadiya ka dhaara
Basti basti parbat parbat
Phirta main aawaara
Kash main koi
Panchhi hota ho ho ho.

MovieMaarg
SingerMohammed Aziz
DirectorMahesh Bhatt
Music ComposerAnu Malik
LyricistAnand Bakshi
Star CastVinod Khanna, Hema Malini, Dimple Kapadia, Anupam Kher, Paresh Rawal, Mahesh Anand, Avtar Gill, Akash Khurana, Achyut Potdar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *