Karke Badnam Meri Neende Haram, Kaha Chala Gaya Tu Lyrics | Baghi | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Karke Badnam Meri Neende Haram, Kaha Chala Gaya Tu Lyrics | Baghi | Lata Mangeshkar | Madan Mohan

Chhed yu karti hai duniya tere naam ke sath
Jal ke leti hai mera naam tere naam ke sath

Kar ke badnam meri ninde haram
Kaha chala gaya
Tu kaha chala gaya
Kar ke badnam meri ninde haram
Kaha chala gaya
Tu kaha chala gaya

Karne ko bate karu tujhse khayalo me
Phir bhi naa mane dil toh kya karu
Kab tak bhigoya karu ashko se palke
Kab tak judayi me aahen bharu
Jab se huyi sham mujhe rone se kaam
Kaha chala gaya
Tu kaha chala gaya
Kar ke badnam meri ninde haram
Kaha chala gaya
Tu kaha chala gaya

Bhatke najar meri ban me chaman me
Chain mai dil kaa kahi bhi pau naa
Dil me bhadak chale shole judayi ke
Haay inhi me kahi jal jau naa
Ho naa badnam kahi tera hi naam
Kaha chala gaya
Tu kaha chala gaya
Kar ke badnam meri ninde haram
Kaha chala gaya
Tu kaha chala gaya

MovieBaghi
SingerLata Mangeshkar
DirectorAnant Thakur
Music ComposerMadan Mohan
LyricistMajrooh Sultanpuri
Star CastRanjan, Naseem Banoo, Pran, Shammi, Mukri, Anwar Hussan, B M Vyas

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *