Kandhe Dhanush Baan Dharan Kar Lyrics | Ganga Maiya | Shankar Rao Vyas

Kandhe Dhanush Baan Dharan Kar Lyrics | Ganga Maiya | Shankar Rao Vyas

Kandeh dhanush baan dharan kar
Pahne karm veer sa bana
Karm chhetr me chala bhagirth
Aaj vijay ka prn khaya

Manushy hain wahi
Manushy hain wahi
Dharm ki rah jo chale
Jo andhiyo ke biich
Bedhadak chala chale
Bedhadak chala chale
Chale jo raaj dharm ke liye
Nagar kutub tyag sakta
Karm ke liye
Jise ke moh maya
Koi mod na sake
Ki mrityu bhi vachan ko
Jiske tod na sake
Hain veer jo apne sukh ko vaar de
Ho hanske jo vipattiya se khelta chale
Jo andhiyo ke biich
Bedhadak chala chale
Bedhadak chala chale

Idhar uthe charan ke chinh
Uthe vasundhara
Udhar bhale bikhar chale sindur mang ka
Ye dosh karm ka
Kisi ko jab rulaye re
Vidhata ko bhi us pe
Tab daya na aye re
To kyu na aasuo me
Aag tu lagake chal
Dagar me tu piya ke
Kyu na deep banke chal
Jivan hain to milan bhi
Iska hoga hi kabhi
Jo pyaar se samay ki
Maar jhelta chale
Jo andhiyo ke biich
Bedhadak chala chale
Bedhadak chala chale

Baandhao ki gond me palti hain safalta
Dukho ki ghatao me
Sukh suhag chamkta
Badhe huye charan ko
Ab palat sakega kaun
Aaj us pathik ke aage
Tik sakega kaun
Man ki aag se
Vijay ka raag chhedta
Jo thokaro se parvato ko thelana chale
Jo andhiyo ke biich
Bedhadak chala chale
Bedhadak chala chale
Manushy hain wahi
Dharm ki rah jo chale
Jo andhiyo ke biich
Bedhadak chala chale
Bedhadak chala chale

MovieGanga Maiya
DirectorChandra Kant
Music ComposerShankar Rao Vyas
LyricistRamesh Chandra Pandey
Star CastPrem Adib, Sumitra, Asha Mathur, Jeevan, Sapru, Trilok Kapoor, S N Tripathi, Bipin Gupta, Shakuntala Paranjpye

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *