Tera mera mandir kya hain
Ye bhole insaan
Man ki ankh se dekh banware
Kan kan me bhagwan
Kan kan me bhagwan
Kan kan me bhagwan
Man ki ankh se dekh milega
Kan kan me bhagwan
Kan kan me bhagwan
Kan kan me bhagwan
Bund bund me lahar lahar me
Patte patte me wo samaya
Rup rang me jal tarang me
Ang ang me usi ki chhaya
Yaha waha wo kaha nahi hain
Jaha taha wo kaha nahi hain
Pahachan sake to pahachan
Kan kan me bhagwan
Kan kan me bhagwan
Chaandi ka to chhatr chadhaya
Sone ka singhasan hain
Resham aur makhmal se uska
Khub sajaya ashan hain
Laddu aur pakwan khilate
Hardam us jagbhrata ko
Tumne kya apane jaisa
Bhukha samjha us data ko
Jo kuber ka bhare khajana
Jo kuber ka bahre khajana
Kan kan me bhagwan
Kan kan me bhagwan
Ude dhan jab bhare khet me
Darshan kare kisaan
Ek ek daane me chamke
Uski jyoti mahan
Ann hain uska isht devata
Ann hain uska isht devata
Mandir hain khaliyan
Kan kan me bhagwan
Kan kan me bhagwan
Use banane chala band kar
Mandir me insaan
Chhua chhut ka bhut ban gaya
Bana nahi bhagwan
Ye uncha hain ye nicha hain
Ye pandit ki bhasha
Hari ko bhaje so hari ka hoi
Arj kare rah data
Arj kare rah data
Arj kare rah data
Kan kan me bhagwan
Kan kan me bhagwan
| Movie | Kan Kan Men Bhagwan |
| Singer | Mahendra Kapoor |
| Director | Babubhai Mistri |
| Music Composer | Shivram |
| Lyricist | Bharat Vyas |
| Star Cast | Anita Guha, Ram Singh, Krishna Kumari, Raja Nene, Mahipal, Ratna Mala |

