Kaisi Haseen Aaj Lyrics | Aadmi | Talat Mahmood | Naushad

Kaisi Haseen Aaj Lyrics | Aadmi | Talat Mahmood | Naushad

Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai
Ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath hai
O dene waale tune to koyi kamee na kee
Abb kisko kya mila
Yeh muqaddar ki baat hai

Chhaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-e-bekhudi
Chhaaya hai husn-o-ishq pe ek rang-e-bekhudi
Aate hai jindagi mein yeh aalam kabhi kabhi
Har ghum ko bhul jaao
Khushi ki baaraat hai
Ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath hai

Aayi hai woh bahaar ke nagame ubal pade
Aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade
Honto pe hai duwaaye
Magar dil pe haath hai
Abb kisko kya mila
Yeh muqaddar ki baat hai

Masti simat ke pyaar ke gulshan me aa gayi
Masti simat ke pyaar ke gulshan me aa gayi
Meri khushi bhi aapke daaman me aa gayi
Bhavra kali se dur nahi saath saath hai
Abb kisko kya mila
Yeh muqaddar ki baat hai
Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai
Ek chaand aasmaan pe hai ek mere saath hai

MovieAadmi
SingerTalat Mahmood
DirectorA Bhim Singh
Music ComposerNaushad
LyricistShakeel Badayuni
Star CastDilip Kumar, Waheeda Rehman, Manoj Kumar, Simi Garewal, Agha, Ulhas, Mohan Choti, Pran, Padma Chavan, Indu Shivraj, Sulochana

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *