Kahiyo Roye Dukhiya Re Lyrics  | Garam Coat | Balraj Sahni, Nirupa Roy | Lata Mangeshkar | Pandit Amarnath

Kahiyo Roye Dukhiya Re Lyrics | Garam Coat | Balraj Sahni, Nirupa Roy | Lata Mangeshkar | Pandit Amarnath

Kahiyo roye dukhiya re
Ja re pachhi tu ja re
Kaaga des hamaare ud ja re
Kahiyo roye dukhiya re
Ja re pachhi tu ja re
Kaaga des hamaare ud ja re
Kahiyo roye dukhiya re

Ek na kahiyo maan raani se
Roegi wo meri gudiyo ko dekhe
Roegi wo meri gudiyo ko dekhe
Ek na kahiyo baabul ji se
Ek na kahiyo baabul ji se
Roenge pagadi ko munh se lapete
Aur sab se kahiyo tu pyaare
Ja re pachhi tu ja re
Kaaga des hamaare ud ja re
Kahiyo roye dukhiya re

Ek na kahiyo bahena meri se
Haatho ki roti gira degi ro ke
Haatho ki roti gira degi ro ke
Ek na kahiyo bhaabhi meri se
Maike mein ja ke hansegi wo mope
Maike mein ja ke hansegi wo mope
Aur sab se kahiyo tu pyaare

Kahiyo re dukh mera bhaiya se ja ke
Kahiyo re dukh mera bhaiya se ja ke
Aayega wo nila ghoda udaake
Utarega mere dwaare
Ja re pachhi tu jaa re
Kaaga des hamaare ud ja re
Kahiyo roye dukhiya re.

MovieGaram Coat
SingerLata Mangeshkar
DirectorAmar Kumar
Music ComposerPandit Amarnath
LyricistMajrooh Sultanpuri
Star CastBalraj Sahni, Nirupa Roy, Jayant, Vijayalaxmi
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *