Kabutar Ja Ja Ja Lyrics | Maine Pyaar Kiya | Lata Mangeshkar, S P Balasubrahmanyam | Raamlaxman

Ja ja ja ja ja ja ja ja
Kabutar ja ja ja – 3
Pehle pyar ki pehli chitthi
O o pehle pyar ki pehli chitthi
Sajan ko de aa
Kabutar ja ja ja – 4

Unse kehna jabse gaye tum
Mai to adhuri lagti hu
In hontho pe chup si lagi hai
Na roti na hansti hu
Bhul hui jo unhe sataya
O o bhul hui jo unhe sataya
Aisa paap kiya
Kabutar ja ja ja – 4
Ja ja

Mann hi mann me unko apna
Sab kuch maan chuki hu mai
Vo kya hai mai kaun hu
Unki ab ye jaan chuki hu mai
Unko apne sath hi lana
O o unko apne sath hi lana
Dil hi nahi lagta
Kabutar ja ja ja – 4
Ja ja

Oh oh ho ho ho – 2
Yaha ka mausam bada hasin hai
Phir bhi pyar udas hai
Unse kehna door sahi mai
Dil to unhi ke paas hai
Tu ye sandesa unko sunana
O o tu ye sandesa unko sunana
Mai pichhe aaya
Kabutar ja ja ja – 4

Jaha bhi dekhu tum hi tum ho
Aur nazar na kuch aaye
Dil ye chahe is aalam me
Kash zamana ruk jaye
Aaj se pehle kabhi nahi thi – 2
Itni hasin duniya

MovieMaine Pyaar Kiya
SingerLata Mangeshkar, S P Balasubrahmanyam
Music ComposerRaamlaxman
LyricistAsad Bhopali

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *