Kabhi Kabhi Yunhi Hamane Apane Ji Ko Bahalaayaa Hai Lyrics | Non-Film (Jagjit Singh) | Jagjit Singh | Jagjit Singh

Kabhi Kabhi Yunhi Hamane Apane Ji Ko Bahalaayaa Hai Lyrics | Non-Film (Jagjit Singh) | Jagjit Singh | Jagjit Singh

??kabhi kabhi yun hi humne
Apne ji ko bahlaya hai
Kabhi kabhi yun hi humne
Apne ji ko bahlaya hai
Jin baato ko khud nahi samjhe
Auro ko samjhaaya hai
Kabhi kabhi yun hi humne
Apne ji ko bahlaya hai

Humse puchho izzat waalo
Ki izzat ka haal kabhi
Humse puchho izzat waalo
Ki izzat ka haal kabhi
Humne bhi is shahar me rahkar
Thoda naam kamaya hai
Kabhi kabhi yun hi humne
Apne ji ko bahlaya hai

Usse bichhde barso beete
Lekin aaj na jaane kyo
Usse bichhde baraso beete
Lekin aaj na jaane kyo
Aangan me hanste bacho ko
Be kaaran dhamkaya hai
Kabhi kabhi yun hi humne
Apne ji ko bahlaya hai

Koi mila to haath milaya
Kahi gaye to baate ki
Koi mila to haath milaya
Kahi gaye to baate ki
Ghar se baahar jab bhi nikle
Din bhar bojh uthaaya hai
Kabhi kabhi yun hi humne
Apne ji ko bahlaya hai
In baato ko khud nahi samjhe
Auro ko samjhaaya hai
Kabhi kabhi yun hi humne
Apne ji ko bahlaya hai

MovieNon-Film (Jagjit Singh)
SingerJagjit Singh
Music ComposerJagjit Singh

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *