Jo Wada Kiya Wo Nibhana Padega Lyrics | Taj Mahal | Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Roshan

Jo Wada Kiya Wo Nibhana Padega Lyrics | Taj Mahal | Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Roshan

Jo vaada kiya woh nibhaana padega
Roke zamaana chaahe roke khudaai
Tumko aana padega

Tarasti nigaahon ne aawaz di hai
Mohabbat ki aahon ne awaaz di hai
Jaane hayaa jaane ada chhodo tarsaana
Tumko aana padega

Ye maana hamein jaan se jaana padega
Par ye samajh lo tumne jab bhi pukaara
Humko aana padega…

Hum apni wafaa pe na ilzaam lenge
Tumhe dil diya hai tumhe jaan bhi denge
Jab ishq ka sauda kiya
Phir kya ghabraana
Humko aana padega

Chamakte hain jab tak yeh chaand aur taare
Na tootenge ab keh do paimaan hamaare
Ek doosra jab de sadaa hoke dewaana
Humko aana padega

MovieTaj Mahal
SingerLata Mangeshkar, Mohammed Rafi
DirectorM Sadiq
Music ComposerRoshan
LyricistSahir Ludhianvi
Star CastPradeep Kumar, Beena Roy, Jeevan, Helen, Rehman, Veena, Mohan Choti, Jabben Jalil, Murad, Sulochana, Minu Mumtaz, Madhumati, Jeevan Kala, Mirza, Mirza Musharraf, Rajan Haksar, Johny Whiskey, Lata Sinha, Balam, Sujata, Prakash Raj, Jr Khurshid

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *