Jeena yahan marna yahan
Iske siva jaana kahan
Jeena yahan marna yahan
Iske siva jaana kahan
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin hum thhe jahan
Apne yahin dono jahan
Iske siva jana kahan
Yeh mera geet jeevan sangeet
Kal bhi koi dohrayega
Yeh mera geet jeevan sangeet
Kal bhi koi dohrayega
Jag ko hasane bahrupiya
Roop badal phir aayega
Swarg yahin nark yahan
Iske siva jana kahan
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin hum thhe jahan
Apne yahin dono jahan
Iske siva jana kahan
Kal khel mein hum ho na ho
Gardish mein taare rahenge sada
Kal khel mein hum ho na ho
Gardish mein taare rahenge sada
Bhoolenge hum bhoologe tum
Par hum tumhare rahenge sada
Rahenge yahin apne nishan
Iske siva jana kahan
Ji chahe jab humko awaaz do
Hum hain wahin hum thhe jahan
Apne yahin dono jahan
Iske siva jana kahan
Jeena yahan marna yahan
Iske siva jaana kahan.
| Movie | Mera Naam Joker |
| Singer | Mukesh Chand Mathur (Mukesh) |
| Director | Raj Kapoor |
| Music Composer | Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi |
| Lyricist | Shailendra (Shankardas Kesarilal) |
| Star Cast | Raj Kapoor, Simi Garewal, Manoj Kumar, Rishi Kapoor, Dharmendra, Dara Singh, Kseniya Ryabinkina, Padmini, Rajendra Kumar |
| Label | Saregama |

