Jane Kyo Aisa Lagtaa Hai Lyrics | Shradhanjali | Bhupinder Singh, Asha Bhosle | Hemant Bhosle

Jane Kyo Aisa Lagtaa Hai Lyrics | Shradhanjali | Bhupinder Singh, Asha Bhosle | Hemant Bhosle

Chandni sa rang khilte fool sa mahka shabab
Sangemarmar me milaya kisne ye range gulab
Adhkhuli aankho se chalki chalki chahat ki sharab
Jab se tu baaho me aayi jindagi lagti hai khawab

Jab jab jab jab ham ne janm liya
Har baar tumhi se pyar kiya
jab jab ham ne janm liya
Har baar tumhi se pyar kiya
Tere naam ka hi sindoor bhara
Tere pyar se hi singaar kiya
Jaane kyu aisa lagta hai jaane kyu aisa lagta hai

Teri baaho ke ghere me kya kya tufaan machlte hain
Julfo ke ghanere saaye me mousm ke rang badalte hain
Har rang me meri aankho ne bas tera hi deedaar kiya
Jaane kyu aisa lagta hai jaane kyu aisa lagta hai
Jaane kyu aisa lagta hai jaane kyu aisa lagta hai

Jeete jee yaha sab pyar kre ham mar ke bhi pyar nibhayenge
Tujh se mil ke jeena sikha tere pyar me ham mar jayenge
Tere sath jiye tere sath mare jeevan me yahi har baar kiya
Jaane kyu aisa lagta hai jaane kyu aisa lagta hai
Jaane kyu aisa lagta hai jaane kyu aisa lagta hai

MovieShradhanjali
SingerBhupinder Singh, Asha Bhosle
DirectorAnil Sharma
Music ComposerHemant Bhosle
LyricistAnjaan
Star CastSuresh Oberoi, Rakhee, Deepak Parashar, Madhu Kapoor, Arun Govil

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *