Janam Janam Kaa Hai Yeh Nata Lyrics | Amar Jyoti | Asha Bhosle

Janam janam kaa hai yeh nata tera mera sajna
Sath kabhi naa chhute pyar kabhi naa tute balma

Banake sharmili dulhanen saj-dhajake bahare aayengi
Mithi-mithi si kushabu se mann kee bagiya mahakayengi
Bas git yahi duharayengi, amar rahega pyar apna

Mai sarita too sagar hai mai badari too sawan hai
Mai chhavi hu sundar sapno kee too aashao kaa darpan hai
Too majhi mai naiya teri, yeh pyar bana patawar apna

Hai prit madhur si ragini jiwan bina ke tar kee
Jo dekhi tere naino me hai amar woh jyoti pyar kee
Iss par kabhi us par kabhi, huwa milan sau bar apna

MovieAmar Jyoti
SingerAsha Bhosle

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *