Jagdamba Bhawani Lyrics | Hansraj Raghuwanshi

Jagdamba Bhawani Lyrics | Hansraj Raghuwanshi

Tu Jaane Maa Teriyaan Tu Jaane
Tu Jaane Maa Teriyaan Tu Jaane

Maa Ki Mamta Se Upar Na Jag Mein Koi Chaya Hai
Mein Raah Takraah Har Din Tera Tu Hi Mera Saya Hai
Tu Rudhrani Tum Brahmani Tumse Hi Jag Ye Aaya Hai
Mein Kyu Na Tumko Puju Maa Tune Hi Mujhe Banaya Hai

Jab Mann Ye Mera Dar Se Kampe Tum Himmat Bharne Aao
Kabhi Jagdamba Kabhi Banke Bhawani Mujhpe Krupa Barsana
Kabhi Jagdamba Kabhi Banke Bhawani Mujhpe Krupa Barsana

Chahe Aar Karo Chahe Paar Karo Meri Maiya Tum Svikar Karo
Mein Aaya Jag Se Khake Dhokhe Ab Naiya Meri Paar Karo

Uddhar Karo Maa Mujhe Pyar Karo Maa
Mein Jag Ka Sataya Dulaar Karo Maa
Jab Bhatku Mein Iss Duniya Se
Rasta Tu Mujhko Dikha Dena

Kabhi Jagdamba Kabhi Banke Bhawani Mujhpe Krupa Barsana
Kabhi Jagdamba Kabhi Banke Bhawani Mujhpe Krupa Barsana

SingerHansraj Raghuwanshi
Music ComposerDJ Strings
LyricistKabeer Shukla
LabelHansraj Raghuwanshi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *