Jab Yunhi Bichhadna Tha To Pehle Lyrics | Mehboob Mere | Anuradha Paudwal | Anwar

Jab Yunhi Bichhadna Tha To Pehle Lyrics | Mehboob Mere | Anuradha Paudwal | Anwar

Jab yunhi bichhadna tha
To pahle bata dete
Dil to na mera jalta
Hum hanske bhula dete
Jab yunhi bichhadna tha
To pahle bata dete
Dil to na mera jalta
Hum hanske bhula dete
Jab yunhi bichhadna tha

Yu khud ko chhupane ki
Naubat na kabhi aati
Yu khud ko chhupane ki
Naubat na kabhi aati
Hum koi bhi achha sa
Afsana bana dete
Dil to na mera jalta
Hum hanske bhula dete
Jab yunhi bichhadna tha

Bhule bhi achanak to
Mil jaate kahin humko
Bhule bhi achanak to
Mil jaate kahin humko
Us raah mein yaado ke
Do phool bichha dete
Dil to na mera jalta
Hum hanske bhula dete
Jab yunhi bichhadna tha

Dasti na ye tanhaai
Hansti na ye duniya bhi
Dasti na ye tanhaai
Hansti na ye duniya bhi
Le lete meri jaa tum
Par ye na saza dete
Dil to na mera jalta
Hum hanske bhula dete
Jab yunhi bichhadna tha
To pahle bata dete
Dil to na mera jalta
Hum hanske bhula dete
Jab yunhi bichhadna tha
Jab yunhi bichhadna tha
Jab yunhi bichhadna tha
Jab yunhi bichhadna tha

MovieMehboob Mere
SingerAnuradha Paudwal
Music ComposerAnwar
LyricistEkhlas

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *