Jab Saamane Tum Aa Jaate Ho Lyrics | Khwahishein – Jagjit Singh | Jagjit Singh

Aaina dekh ke bole yeh sawarane waale hai
Abb toh bemaut marenge mere maranewaale

Dekhake tumako hosh mein aana bhul gaye
Yaad rehe tum aur jaamana bhul gaye

Jab saamane tum -2 aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

Chaaha tha yeh kahenge socha tha woh kahenge
Aaye woh saamane toh kuchh bhi na keh sake bas dekha kiye unhe hum

Dekhakar tumako yakin hota hai – (2)
Koi itana bhi hasin hota hai
Dekh paate hai kahaan hum tumako
Dil kahin hosh kahin hota hai
Jab saamane tum -2 aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

Aakar chale na jaana, aise nahi sataana
Dekar hasin labon ko aankhon ko mat rulaana
Dena na bekaraari dil ka karaar banake
Yaadon mein kho na jaana tum intjaar banake, intjaar banake

Bhulkar tumako na ji paayenge -2
Saath tum hogi jahaan jaayenge
Hum koyi waqt nah hai hum dum
Jab bulaaogi chale aayenge
Jab saamane tum -2 aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

MovieKhwahishein - Jagjit Singh
SingerJagjit Singh

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *