(Jab koyi baat bigad jaaye, jab koyi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz) – (2)
Na koyi hai na koyi tha jindagi mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaaz – (2)
(Ho chaandani jab tak raat, deta hai har koyi saath
Tum magar andhero mein, na chhodana mera haath) – (2)
Jab koyi baat bigad jaaye, jab koyi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz
Na koyi hai na koyi tha jindagi mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaaz
(Wafadaari ki woh rasame nibhayenge hum tum kasame
Ek bhi saans zindagi ki jab tak ho apane bas mein) – (2)
Jab koyi baat bigad jaaye, jab koyi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz
Na koyi hai na koyi tha jindagi mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaaz
(Dil ko mere huwa yakin hum pehale bhi mile kahi
Silsila ye sadiyo ka koyi aaj ki baat nahi) – (2)
(Jab koyi baat bigad jaaye, jab koyi mushkil pad jaaye
Tum dena saath mera o humnawaaz) – (2)
Na koyi hai na koyi tha jindagi mein tumhaare siva
Tum dena saath mera o humnawaaz – (2)
| Movie | Jurm (1990) |
| Singer | Kumar Sanu, Sadhana Sargam |
| Music Composer | Rajesh Roshan |
| Lyricist | Indeevar |