Jaane Ye Kya Hua – Part 2 Lyrics | Ardhangini – Ek Ardhsatya | Hariharan | Dinesh Arjuna

Jaane Ye Kya Hua – Part 2 Lyrics | Ardhangini – Ek Ardhsatya | Hariharan | Dinesh Arjuna

??jaane ye kya hua ek aisa pal gaya
Jaane ye kya hua ek aisa pal gaya
Bikhara tera wajud jeevan badal gaya
Tujhko hi tera man jaane kyun chhal gaya
Jaane kyun chhal gaya
Jaane kyun chhal gaya

Palbhar ka ye bharam jhuta khumar hai
Kaante khile jaha ye wo bahar hai
Bechain itni hai talash me
Wo kasturi chhupi tere hi paas me
Tere hi paas me
Ardhangini ek ardhsatya

Aankhe bani chita har khwab jal gaya
Aankhe bani chita har khwab jal gaya
Kitni subah subah suraj ye dhal gaya
Tujhko tera nasib jaane kyun chhal gaya
Jaane kyun chhal gaya
Jaane kyun chhal gaya

Is gam ki dhup mein saaya nahi koi
Apno ki bhid mein apna nahi koi
Naa koi humkadam
Naa koi hamnava
Ashko se kyun likhi teri ye daasta
Teri ye daasta
Aankhe bani chita har khwab jal gaya
Kitni subah subah suraj ye dhal gaya
Tujhko tera nasib jaane kyun chhal gaya
Jaane kyun chhal gaya
Jaane kyun chhal gaya

MovieArdhangini - Ek Ardhsatya
SingerHariharan
DirectorReema Mukherjee
Music ComposerDinesh Arjuna
LyricistDeepak Sneh
Star CastSubodh Bhave, Sreelekha Mitra, Subrat Dutt, Manoj Mitra, Reema Lagoo, Varsha Usgaonkar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *