Jaaegaa Jab Yahaan Se Kuchh Bhi Na Paas Hogaa Lyrics | Moti Mahal | Madhubala Jhaveri, Mohammed Rafi | Hansraj Behl

Jaaegaa Jab Yahaan Se Kuchh Bhi Na Paas Hogaa Lyrics | Moti Mahal | Madhubala Jhaveri, Mohammed Rafi | Hansraj Behl

Jaaegaa jab yaha se kuchh bhi na paas hoga
Do gaz kafan kaa tukda tera libaas hoga
Jaaegaa jab yaha se
Jaaegaa jab yaha se kuchh bhi na paas hoga
Do gaz kafan kaa tukda tera libaas hoga
Jaaegaa jab yaha se

Matlab ki hai ye duniya
Matlab ki hai ye duniya
Kyaa apne kyaa paraaye
Koi naa saath aayaa
Koi naa saath jaae
Do din ki zindagi hai
Do din ki zindagi hai
Kar le jo dil me aaye
Jaaegaa jab yaha se kuchh bhi na paas hoga
Do gaz kafan kaa tukda tera libaas hoga
Jaaegaa jab yaha se

Ye thaat-baat tera
Ye aan-baan teri
Ye thaat-baat tera
Ye aan-baan teri
Rah jaaegi yahi par
Rah jaaegi yahi par
Ye saari shaan teri
Itni hai ae musaafir
Itni hai ae musaafir bas daasta teri
Jaaegaa jab yaha se kuchh bhi na paas hoga
Do gaz kafan kaa tukda tera libaas hoga
Jaaegaa jab yaha se

MovieMoti Mahal
SingerMadhubala Jhaveri, Mohammed Rafi
DirectorRavindra Dave
Music ComposerHansraj Behl
LyricistAsad Bhopali
Star CastAjit, Jeevan, Veera, Baby Tabassum, Satish, Suraiya

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *