Insaaf teraa dekhaa ai saaqi-e-maykhanaa

Ham baithe rahe pyaase chhalka kiyaa
Chhalka kiya paimaana
Chhalka kiya paimaana
Ham baithe rahe pyaase chhalka kiya paimaana
Ham tazkiraa karte the duniyaa ki jafaao kaa

Kyun tumne nazar badali kyun kah diyaa diwaanaa
Kyun tumne nazar badali kyun kah diyaa diwaanaa
Insaaf teraa dekhaa ai saaqi-e-maykhanaa
Ham baithe rahe pyaase chhalka kiya paimaana
Khud odh liyaa hamne ilzaam mohabbat kaa
Haan

Dekhaa na gayaa hamse un aankho kaa sharmana
Dekhaa na gayaa hamse un aankho kaa sharmana
Insaaf teraa dekhaa ai saaqi-e-maykhanaa
Ham baithe rahe pyaase chhalka kiya paimaana
Kaafi hai taaruf ye ai shamm-e-sar-e-mahfil

Hai kaam meraa jalna aur naam hai parwana
Hai kaam meraa jalna aur naam hai parwana
Insaaf teraa dekhaa ai saaqi-e-maykhanaa
Ham baithe rahe pyaase chhalka kiyaa
Chhalka kiya paimaana
Chhalka kiya paimaana
Ham baithe rahe pyaase chhalka kiya paimaana
| Movie | Shama |
| Singer | Suman Kalyanpur |
| Director | Lekhraj Bakshi |
| Music Composer | Ghulam Mohammad |
| Lyricist | Kaifi Azmi |
| Star Cast | Vijay Dutt, Suraiya, Nimmi, Tun Tun, Kammo, Mumtaz Begum, Kumud Tripathi, Leela Mishra, Tarun Bose, Kumar |