Husn Ki Dekhiye Bahaar Lyrics | Bombay Ka Chor (1962) | Kishore Kumar | Ravi

(Husn ki dekhiye bahaar aayi kataar dar kataar
Mehfil mein jaan aa gayi, chhid gaye jindagi ke taar) – (2)
Husn ki dekhiye bahaar

(Aankhe gulaabi chehare kitaabi
Hai mehfil ka aalam sharaabi sharaabi) – (2)
Umango ki duniya yeh rango ki duniya
Ho jisake farishton ka imaan sa
Husn ki dekhiye bahaar aayi kataar dar kataar
Mehfil mein jaan aa gayi, chhid gaye jindagi ke taar
Husn ki dekhiye bahaar

(Shokhi woh shokhi, masti woh masti
Aabaad jinase hai jannat ki basti) – (2)
Ai husnwaala sadiya jiyo tum, aur har baras ke din bhi hajaar
Husn ki dekhiye bahaar aayi kataar dar kataar
Mehfil mein jaan aa gayi, chhid gaye jindagi ke taar
Husn ki dekhiye bahaar

MovieBombay Ka Chor (1962)
SingerKishore Kumar
Music ComposerRavi
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *