Hum Bhi Toh Hai Talabgaaro Mein Lyrics | Dhuan (1981) | Amit Kumar | R D Burman

(Hum bhi toh hai talabgaaro mein idhar bhi toh aayiye
Are aisi bhi kya khata huyi hamase gale toh mil jaayiye) – (2)

Itane dino pe mile ho toh yeh kya ada hai – (2)
Are yeh bhi na puchho deewaane tera haal kya hai, aao na
Hum bhi toh hai talabgaaro mein idhar bhi toh aayiye
Are aisi bhi kya khata huyi hamase gale toh mil jaayiye

Gussa karo na jo chhedu main julfein tumhaari – (2)
Are lagane lipatane ki hai thodi aadat hamaari, dekho na
Hum bhi toh hai talabgaaro mein idhar bhi toh aayiye
Are aisi bhi kya khata huyi hamase gale toh mil jaayiye

Jaao magar yeh bata do ke phir kab miloge – (2)
Abb jo khile mere baahon mein phir kab khiloge, bolo na
(Hum bhi toh hai talabgaaro mein idhar bhi toh aayiye
Are aisi bhi kya khata huyi hamase gale toh mil jaayiye) – (2)

MovieDhuan (1981)
SingerAmit Kumar
Music ComposerR D Burman

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *