Ham Tumhare Liye, Tum Hamare Liye Lyrics | Inteqam (1969) | Lata Mangeshkar, Mohammad Rafi | Laxmikant-Pyarelal

Ham tumhare liye, tum hamare liye
Phir jamane kaa kya hai, hamara na ho

Aap ke pyar kaa jo mile aasara
Phir khuda kaa bhee beshak sahara na ho

Tum hee ho dil me, tum hee ho meree nigaho me
Na aur aayega abb koyee meree raho me
Karu na aaraju, marne ke bad jannat kee
Agar yeh jindagee gujare tumharee baho me
Pyar ke chand se, rat roshan rahe
Phir koyee aasman pe sitara na ho

Najar najar se, kadam se kadam milate huye
Chale hain wakt kee raftar ko bhulaye huye
Bahar puchh rahee hai, chaman ke phulo se
Yeh kaun aaya ke tum sab ho sar jukaye huye
Soch me phul hai, ham agar chal diye
Phir chaman me kabhee yeh najara na ho

MovieInteqam (1969)
SingerLata Mangeshkar, Mohammad Rafi
Music ComposerLaxmikant-Pyarelal
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *