Ham Pyaar Ki Bazi Hare Lyrics | Sazaa | Lata Mangeshkar | S D Burman

Ham pyaar ki bazi hare
Dil roye dard ke mare
Balmava chale gaye – 2

Meri aashao ke tare
Toot gaye sare
Sajanva chale gaye
Balamva chale gaye

(Vo bedardi kya jaane
Tere dard bhare afsane) – (2)

Mai kahu jiya se bhool
Jiya na mane – 2
Lo aaye badal kare
O mere pyare sajanva chale gaye
Balamva chale gaye

Ham pyaar ki bazi hare
Dil roye dard ke mare
Balamva chale gaye
Sajanva chale gaye

(Dil ghadi-ghadi bhar aaye
Aur chain kahi na paye) – (2)

Koi ja kar mere sajan se
Yah baat meri kah jaye
Ham phirenge mare mare
O dware dware sajanva chale gaye

Ham pyar ki bazi hare
Dil roye dard ke mare
Balamva chale gaye
Sajanva chale gaye
Balamva chale gaye

MovieSazaa
SingerLata Mangeshkar
Music ComposerS D Burman
LyricistRajendra Krishan

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *