(Halki halki sard hawa dil matwaala jhum raha
Mausam bhi hai saathi bhi hai, o deewaanwe saaj utha) – (2)
Halki halki sard hawa dil matwaala jhum raha
(Raks ke baadal chha jaaye, nagamon ki barsaate ho
Ishq bhare afsaane ho, hus bhari kuchh baatein ho) – (2)
Kehata ja sharmaata ja, apani dhun mein gaata ja
(Mausam bhi hai saathi bhi hai, o deewaanwe saaj utha
Halki halki sard hawa dil matwaala jhum raha) – (2)
(Aaj bahaare teri hain, phul hai teri raahon mein
Raat pe tera kaabu hai, chaand hai teri baahon mein) – (2)
Rang udaaya dhoom macha, bhaag jamaana hai tera
Mausam bhi hai saathi bhi hai, o deewaanwe saaj utha
Halki halki sard hawa dil matwaala jhum raha
| Movie | Bombay Ka Chor (1962) |
| Singer | Kishore Kumar |
| Music Composer | Ravi |
| Lyricist | Rajendra Krishan |