Hai Mubarak Aaj Ka Din Lyrics  | Boxer | Mithun Chakraborty, Rati Agnihotri | Hariharan, Kavita Krishnamurthy | Rahul Dev Burman

Hai Mubarak Aaj Ka Din Lyrics | Boxer | Mithun Chakraborty, Rati Agnihotri | Hariharan, Kavita Krishnamurthy | Rahul Dev Burman

Hai mubaarak aaj ka
Din raat aayi hai suhaani
Shaadmaani o shaadmaani,
Shaadmaani o shaadmaani
Hai mubaarak aaj ka
Din raat aayi hai suhaani
Shaadmaani o shaadmaani,
Haadmaani o shaadmaani

Aaj toh nasha aisa
Chadha puchho na yaaro
Main hoon aasama pe
Mujhe niche utaaro
Aaj toh nasha aisa
Chadha puchho na yaaro
Main hoon aasama pe
Mujhe niche utaaro
Mujhape sada hasati
Raho yuun hi bahaaro
Milake mere saath naacho
Aap ki hai meherbaani
Shaadmaani o shaadmaani,
Shaadmaani o shaadmaani

Hai mubaarak aaj ka
Din raat aayi hai suhaani
Shaadmaani o shaadmaani,
Shaadmaani o shaadmaani

Dekho meri aankhon
Main hai dore gulaabi
Main toh nahi pita huwa
Phir bhi sharaabi
Dekho meri aankhon
Main hai dore gulaabi
Main toh nahi pita huwa
Phir bhi sharaabi
Yeh hai tere pyaar ka
Nasha chanda si bhaabhi
Bhaiya raaja ghar mein leke
Aa gaya pariyon ki raani
Shaadmaani o shaadmaani,
Shaadmaani o shaadmaani

Hai mubaarak aaj ka din
Raat aayi hai suhaani
Shaadmaani o shaadmaani,
Shaadmaani o shaadmaani

Aangan mein yuun barase
Sada khushiyo ki jhadi
Baandhe tere sehare
Mein aasha ki ladi
Aangan mein yuun barase
Sada khushiyo ki jhadi
Baandhe tere sehare
Mein aasha ki ladi
Meri khushnaseebi hai
Jo dekhe yeh ghadi
Hai naya andaaj chaahe
Reet hai wohi puraani
Shaadmaani o shaadmaani,
Shaadmaani o shaadmaani
Hai mubaarak aaj ka
Din raat aayi hai suhaani
Shaadmaani o shaadmaani,
Shaadmaani o shaadmaani.

MovieBoxer
SingerHariharan, Kavita Krishnamurthy, Vanita Mishra
DirectorRaj N. Sippy
Music ComposerRahul Dev Burman
LyricistGulshan Bawra (Gulshan Kumar Mehta)
Star CastMithun Chakraborty, Rati Agnihotri, Tanuja, Danny Denzongpa, Iftekhar, Sharat Saxena, Parikshat Sahni
LabelShemaroo

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *