Hai Dil Mein Lagan Lyrics  | Yalgaar | Feroz Khan, Nagma, Sanjay Dutt | Mohammed Aziz, Nitin Mukesh, Suresh Wadkar | Channi Singh

Hai Dil Mein Lagan Lyrics | Yalgaar | Feroz Khan, Nagma, Sanjay Dutt | Mohammed Aziz, Nitin Mukesh, Suresh Wadkar | Channi Singh

Su: baar-e-duniyaa mein.. raho shaad ke, naashaad raho
Aise kuchh karke chalo, karke chalo yaa ke
Bahut yaa..d raho, yaad raho, yaad raho

Ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan -2
Ye jaan nichhaavar karne ki
A: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki
Ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
A: kyaa shaan hai aise marne ki
A, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki

Ni: hai maut se rishtaa jeevan kaa
Paidaa jo huaa vo martaa hai
A: is janam-janam ke saathi se
Naadaan hai vo jo dartaa hai
Ni: veeron ne reet nibhaai hai -2
Marne se mohabbat karne ki
A: kyaa baat hai aise jeene ki -2
Ni: kyaa shaan hai aise marne ki
A, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki

A: ye zaalim daakoo hatyaare
Desh aur insaan ke dushman hai
Ni: vah vaar karenge ham inpar
Ye dharm-imaan ke dushman hai
A: khaate hain qasam, is desh mein ham -2
Ik jashn-e-bahaaraan karne ki
Ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
A: kyaa shaan hai aise marne ki
A, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki

A: ye rut hai pyaar mohabbat ki
Har mod pe husn ke jalve hain
Ni: mitti mein mahak hai phoolon ki
Zarron mein chaand sitaare hain
A: armaan hai pyaar mein jeene kaa -2
Hasrat hai husn pe marne ki
Ni: kyaa baat hai aise jeene ki -2
A: kyaa shaan hai aise marne ki
A, ni: hai dil mein lagan, ey mere vatan
Ye jaan nichhaavar karne ki

MovieYalgaar
SingerMohammed Aziz, Nitin Mukesh, Suresh Wadkar
Music ComposerChanni Singh
LyricistSudarshan Fakir
Star CastFeroz Khan, Nagma, Sanjay Dutt
LabelTips

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *