Gulabi Aankhe Jo Teri Dekhi Lyrics | The Train (1970) | Mohammad Rafi | R D Burman

La la la la la la la la la – 3
Gulabi aankhe jo teri dekhi
Sharabi ye dil ho gaya
Sambhalo mujhko o mere yaaro
Sambhalna mushkil ho gaya
Dil me mere khwab tere
Bas tere jaise ho diwar pe
Tujhpe fida mai kyun hua
Aata hai gussa mujhe pyaar pe
Mai lut gaya manke dil ka kaha
Mai kahi tha na raha

Kya kahu mai dilruba
Pura ye jadu teri aankho ka
Ye mera katil ho gaya
Gulabi aankhe jo teri dekhi
Sharabi ye dil ho gaya
Maine sada chaha yehi
Daman bacha lu hasino se mai
Teri kasam khwabo me bhi
Bachta fida naznino se mai
Tauba magar mil gayi tujhse nazar
Mil gaya dard-e-jigar

Sun zara o bekhabar
Zara sa haske jo dekha tune
Mai tera bismil ho gaya
Gulabi aankhe jo teri dekhi
Sharabi ye dil ho gaya
Sambhalo mujhko o mere yaaro
Sambhalna mushkil ho gaya

MovieThe Train (1970)
SingerMohammad Rafi
Music ComposerR D Burman
LyricistAnand Bakshi

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *