Ghunghat Kali Ka Na Khol Bhanware Lyrics | Aanchal | Asha Bhosle | C Ramchandra

Ghunghat kali ka na khol bhanware, ghunghat kali ka na khol
Aur kahin ja ke dol, mera rup bada hai anamol
Ghunghat kali ka na khol re bhanware, ghunghat kali ka na khol

Kal hi toh maine bachapan ko chhoda, bachapan ko chhodaa
Kal hi toh maine bachapan ko chhoda
Nayi umango se naata hai joda – 2
Komal kishori ko tu barajori – 2
Mat kar daanwaadol

Ghunghat kali ka na khol bhanware
Ghunghat kali ka na khol re bhanware, ghunghat kali ka na khol

Rehati hu main sada aanchal sambhaale – 2
Kahin koyi meri na kushbu uda le, kushbu uda le
Gun gun karati taano mein meri – 2, pyaar ki boli na bol

Ghunghat kali ka na khol bhanware, ghunghat kali ka na khol
Aur kahin ja ke dol, mera rup bada hai anamol
Ghunghat kali ka na khol re bhanware, ghunghat kali ka na khol

MovieAanchal
SingerAsha Bhosle
Music ComposerC Ramchandra
LyricistKavi Pradeep

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *