Garibo par daya kar ke bada ehsaan karte ho

Inhe buzdil bana dene kaa tum samaan karte ho

Inhi ko lutte ho aur inhe khairaat dete ho

Bade tum dharmwaale ho ye accha daan karte ho
Bade tum dharmwaale ho ye accha daan karte ho
Garibo par daya kar ke bada ehsaan karte ho
Daro us wakt se jab rang badlega jamaane kaa

Ye tumse lenge badla jinka ab apmaan karte ho
Ye tumse lenge badla jinka ab apmaan karte ho
Garibo par daya kar ke bada ehsaan karte ho
Inhe buzdil bana dene kaa tum samaan karte ho
| Movie | Roti |
| Director | Mehboob Khan |
| Music Composer | Anil Biswas |
| Lyricist | Dr Safdar Aah |
| Star Cast | Chandra Mohan, Sitara Devi, Akhtari, Sheikh Mukhtar, Ashraf Khan, Kayam Ali, Agha |