Ek Ravan Ko Ram Ne Mara, Ek Ravan Ko Mai Marunga Lyrics | Charanon Ki Saughandh | Kishore Kumar | Laxmikant Pyarelal

Ek rawan ko ram ne mara ek rawan ko mai marunga

Teri lanka aaj ujadunga jai jai shri ram pukarunga

Bol shri ram chandar ki jai ek rawan ko ram ne mara
Ek rawan ko mai marunga teri lanka aaj ujadunga
Jai jai shri ram pukarunga teri lanka aaj ujadunga
Jai jai shri ram pukarunga

Ye anokhi reet re bhaiya is neele akash tale
Har koi ek baar jale lekin rawan har sal jale

Ab ke baras dharti ke sar se ab ke baras dharti ke sar se
Mai ye bojh utarunga teri lanka aaj ujadunga
Jai jai shri ram pukarunga teri lanka aaj ujadunga
Jai jai shri ram pukarunga

Jab anyay hua chali hai nayay ki talwar yaha
Jab jab atyachar hua aya koi awtar yaha

Ram na jane kab aaye ram na jane kab aaye
Mai kab tak bat niharunga teri lanka aaj ujadunga
Jai jai shri ram pukarunga teri lanka aaj ujadunga
Jai jai shri ram pukarunga

Ek rawan ko ram ne mara ek rawan ko mai marunga
Teri lanka aaj ujadunga jai jai shri ram pukarunga
Teri lanka aaj ujadunga jai jai shri ram pukarunga

MovieCharanon Ki Saughandh
SingerKishore Kumar
DirectorK Bapaiah
Music ComposerLaxmikant Pyarelal
LyricistAnand Bakshi
Star CastMithun Chakraborty, Amrita Singh, Kader Khan, Raj Kiran, Prem Chopra, Shakti Kapoor, Nirupa Roy

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *