O… ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise
Khilta gulaab
Jaise
Shayar ka khvab
Jaise
Ujali kiran
Jaise
Ban me hiran
Jaise
Chaandani raat
Jaise
Narami ki baat
Jaise
Mandir me ho ek jaltaa diya
O… ek ladki ko dekha to aisa laga
O… ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise
Subah ka rup
Jaise
Sardi ki dhup
Jaise
Vinaa ki taan
Jaise
Rango ki jaan
Jaise
Balakhaaye bel
Jaise
Laharo ka khel
Jaise
Khushbu liye aaye thandi hava
O… ek ladki ko dekha to aisa laga
O… ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
Jaise
Nachta mor
Jaise
Resham ki dor
Jaise
Pariyo ka raag
Jaise
Sandal ki aag
Jaise
Solah shringaar
Jaise
Ras ki phuhaar
Jaise
Aahista aahista badhta nasha
Ho… ek ladki ko dekha to aisa laga
Ek ladki ko dekha to aisa laga
| Movie | 1942 A Love Story |
| Singer | Kumar Sanu |
| Director | Vidhu Vinod Chopra |
| Music Composer | R D Burman |
| Lyricist | Javed Akhtar |
| Star Cast | Anil Kapoor, Jackie Shroff, Manisha Koirala, Anupam Kher, Danny Denzongpa, Chandni, Pran, Pramod Moutho, Aashish Vidyarthi, Manohar Singh, Raghuveer Yadav, Sushma Seth, Gopi Desai, Shakti Singh, Brain Glover, Uday Chandra, Kamal Chopra, Shiv Kumar Subrama |

