Ek Din Hatimtai Se Kisi Ne Puchha Lyrics | Hatimtai Ki Beti | Talat Mahmood, S Balbir | Alla Rakha Qureshi

Ek din haatim-e-tai se kisi ne puchha
Kyu musibat me giraftaar tu rahata hai sada
Dusaro ke liye kyu firata hai maara maara
Bola kuch nahi jaanta hu iske siwa
Jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga

Ek neki ek bhalaai ek dua le jaaunga

Chaar din ki jindagaani aur duniya chand roj
Chaar din ki ye? hai jisme rahna chand roj
Kyun na kar jaau jahaa me naam apna chand roj

Ek apna naam ya? jaaunga
Jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
Ek neki ek bhalaai ek dua le jaaunga
Jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga

Maut ke tufaan me insaan jab bah jaayega
Heera moti sona chaandi ab yahi rah jaayega
Jaate jaate jaane wala bas yahi kah jaayega

Mai yaha laaya tha kya aur saath kya le jaaunga
Jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
Ek neki ek bhalaai ek dua le jaaunga
Jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga

Khaak ka putala hu aur mai khaak me mil jaaunga
Beej jaise bounga waise hi phal mai paaunga
Ab nahi socha to marte dum bahut pachhataaunga

Daaman-e-hasti gunaaho se bhara le jaaunga
Jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
Ek neki ek bhalaai ek dua le jaaunga
Jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga
Jab yaha se jaaunga mai aur kya le jaaunga

MovieHatimtai Ki Beti
SingerTalat Mahmood, S Balbir
DirectorN Vakil
Music ComposerAlla Rakha Qureshi
LyricistShewan Rizvi
Star CastMahipal, Chitra, Helen, Maruti, Krishna 1, Kum Kum, Naaz, Hiralal

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *