Duniya Me Sabhee Chehare Lagte Lyrics | Duniya | Mukesh, Sharda | Shankar Jaikishan

Duniya Me Sabhee Chehare Lagte Lyrics | Duniya | Mukesh, Sharda | Shankar Jaikishan

Duniya me sabhi chehre lagte to hai pehchane
Kyu phir bhi hai anjane ye baat wahi jane
Duniya isi ka nam hai duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ko kahte hai
Apne hi apno se yaha begane jaise rahte hai
Begane jaise rahte hai begane jaise rahte hai
Duniya isi ka naam hai

Jo hum chahe jo tum chaho wo kab hota hai duniya me
Mukadar ke isharo pe ye sab hota hai duniya me
Ye sab hota hai duniya me
Duniya isi ka naam hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ka naam hai

Kabhi us mod par luta gaya hai karwa dil ka
Jaha se do kadam hi fasla baki tha manjil ka
Yaha kahti hai khamoshi hajaro gum ke afsane
Magar is baat ka matlab koi bedard kya jane
Koi bedard kya jane
Duniya isi ka naam hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ka naam hai

Yaha har gam khushi ka ek naya paigam lata hai
Andheri raat jati hai savera muskurata hai
Savera muskurata hai
Duniya isi ka naam hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ko kahte hai
Duniya isi ka naam hai

MovieDuniya
SingerMukesh, Sharda
DirectorT Prakash Rao
Music ComposerShankar Jaikishan
LyricistS H Bihari
Star CastDev Anand, Vyjayantimala, Prem Chopra, Balraj Sahni, Johny Walker, Madan Puri, Lalita Pawar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *