(Divaro se milkar rona achha lagata hain
Ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain) – (2)
Divaro se…….
Duniya bhar kee yaade hamse milane aatee hain – (2)
Shaam dhale iss sune ghar me mela lagata hain – (2)
Ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain
Divaro se…….
Kitne dino ke pyaase honge yaaro socho toh – (2)
Shabnam kaa katara bhee jinko daraya lagata hain – (2)
Ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain
Divaro se…….
Kisko kaisar pathhar maro kaun paraaya hain – (2)
Shish mehal me ik ik chehara apana lagata hain – (2)
Ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain
Divaro se milkar rona achha lagata hain
Ham bhee paagal ho jaayenge aisa lagata hain
Divaro se…….
| Movie | Ranjish - Pankaj Udhas |
| Singer | Pankaj Udhas |