Dil Toota Hua Pal pal Tujhe Pukare Lyrics | Ghayal | Meena Kapoor | Gyan Dutt

Dil Toota Hua Pal pal Tujhe Pukare Lyrics | Ghayal | Meena Kapoor | Gyan Dutt

Dil tuta hua pal pal tujhe pukare
Pal pal tujhe pukare
Dil tuta hua pal pal tujhe pukare
Pal pal tujhe pukare
Teri bat takat thake nain hamare
Ho thake nain hamare
Pal pal tujhe pukare dil tuta hua

Bhigi bhigi palko me gum ki kahaniya
Yahi rah gayi hai tere pyar ki nishaniya
Bhigi bhigi palko me gum ki kahaniya
Yahi rah gayi hai tere pyar ki nishaniya
Barbad hue hai arman hamare arman hamare
Pal pal tujhe pukare dil tuta hua

Kadmo me tere mera pyar bhara dil hai
Tujhko kadar nahi badi mushkil hai
Badi mushkil hai meri rate kate
Gin gin ke tare gin gin ke tare
Pal pal tujhe pukare dil tuta hua

Sapne suhane meri aanhko se bah gaye
Virah ke geet mere hotho pe rah gaye
Sapne suhane meri aanhko se bah gaye
Virah ke geet mere hotho pe rah gaye
Ho ab kaise lage meri naiya kinare
Ho lage naiya kinare pal pal tujhe pukare
Dil tuta hua pal pal tujhe pukare
Pal pal tujhe pukare

MovieGhayal
SingerMeena Kapoor
DirectorRamchandra Thakur
Music ComposerGyan Dutt
LyricistManohar Khanna
Star CastSheikh Mukhtar, Geeta Bali, Ram Singh, Jawahar Kaul, Sulochana Chatterjee, Yashwant, Nand Kishore

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *