Dil Ki Pareshaaniya Lyrics | Humlog | Mukesh

Dil ki pareshaaniyaan, ishq ki veeraniyaan
Koun sunegaa meri, dard bhari daastaan
Dard bhari daastaan

Dil ko mere tod ke, saath meraa chhod ke
Tune to sab paa liyaa, mein ne gawaayaan jahaan
Dard bhari daastaan

Dil mein teri yaad hai, phir bhi yeh barbaad hai
Dil mein teri yaad hai, phir bhi yeh barbaad hai
Tu hi bataa de mujhe, mein hun kahaan, tu kahaan
Mein hun kahaan, tu kahaan, dard bhari daastaan
Dil ki pareshaaniyaan, ishq ki veeraniyaan……

Teri nazar kyaa phiri, phir gaee taqdeer bhi
Teri nazar kyaa phiri, phir gaee taqdeer bhi
Rone lagee zindagi, hans ne lagaa aasmaan
Hans ne lagaa aasmaan, dard bhari daastaan

Dil ki pareshaaniyaan, ishq ki veeraniyaan
Koun sunegaa meri, dard bhari daastaan
Dard bhari daastaan

Posted by : purnima

MovieHumlog
SingerMukesh

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *