Dil Gham Se Jal Raha Hai Lyrics | Shamaa | Lata Mangeshkar

Dil gham se jal rahaa hai jale, par dhooan na ho
Mumkin hai iske baad koi, imtehaan na ho
Koi imtehaan na ho

Duniyaa to kyaa, khudaa se bhi ghabaraake kahe diyaa
Woh maherabaan nahin, to koi maherabaan na ho
Koi maherabaan na ho
Dil gham se ……….

Loota khushi ne, aag lagaa di bahaar ne
Barbaad is tarha bhi kisi kaa jahaan na ho
Kisi kaa jahaan na ho
Dil gahm se…………..

Ab to wahin sukoon milegaa mujhe jahaan
Ye sangdil zameen na ho, aasmaan na ho
Dil gham se…….

Posted by: purnima

MovieShamaa
SingerLata Mangeshkar

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *