Dilruba maine tere pyar me kya kya na kiya
Dil diya dard liya – 2
Kabhi phulo me gujari kabhi kanto pe jiya
Dil diya dard liya – 2
Jindgi aaj bhi hai bekhudi aaj bhi hai
Pyar kahte hai jise woh khushi aaj bhi hai
Maine din-raat mohabbat ka teri jam piya
Dil diya dard liya – 2
Dilruba maine tere pyar me kya kya na kiya
Dil diya dard liya – 2
Kya kahu tere liye maine aansu bhi piye
Kabhi khamosh raha kabhi shikve bhi kiye
Kar liya chak gareba kabhi daman ko siya
Dil diya dard liya – 2
Dilruba maine tere pyar me kya kya na kiya
Dil diya dard liya – 2
Pyar ki aan hai tu dil ka arman hai tu
Kaun duniya se dare jab nigehban hai tu
Apni kashti ko sahare pe tere chhod diya
Dil diya dard liya – 2
Dilruba maine tere pyar me kya kya na kiya
Dil diya dard liya – 2
Kabhi phulo me gujari kabhi kanto pe jiya
Dil diya dard liya – 2
| Movie | Dil Diya Dard Liya |
| Singer | Mohammad Rafi |
| Music Composer | Naushad Ali |
| Lyricist | Shakeel Badayuni |