Dhuan dhuan dhundh mein khoyi chandaniya
Lori sunaaun main kya
Nam aankhon mein dubi sapaniya
Lori sunaaun main kya
Lori sunaaun main kya
Raat bujhaaun main kya
Neendein bulaaun main kya
Pathrile takiye pe soti re duniya
Lori sunaaun main kya
Saansein zehar mein piroti re duniya
Lori sunaaun main kya
Maile maile baadal ki chaadar mein
Chaand soya to jaaga nahi
Sune sune ambar ne bhi had ki
Chhoda aasha ka tara nahi
Dil ka dil se yahan koi naata nahi
Dard hota to hai aansu aata nahi
Aansu aata nahi
Dhuan dhuan dhundh mein khoyi chandaniya
Lori sunaaun main kya
Nam aankhon mein dubi sapaniya
Lori sunaaun main kya
| Movie | Bhopal: A Prayer For Rain |
| Singer | Swanand Kirkire |
| Director | Ravi Kumar |
| Music Composer | Swanand Kirkire |
| Lyricist | Swanand Kirkire |
| Star Cast | Martin Sheen, Mischa Barton, Rajpal Yadav, Tannishtha Chatterjee, Akhil Mishra, Fagun Thakrar, Joy Sengupta, Kal Penn, Martin Brambach, David Brooks, Vineet Kumar, Satish Kaushik, Vasanth Santosham, Manoj Joshi |

