??dhire se aaja ri ankhiyan me
Nindiya aaja ri aaja
Dhire se aaja
Chupke se nainan ki bagiyan me
Nindiya aaja ri aaja
Dhire se aaja
O lekar suhane sapno ki kaliya
Sapno ki kaliya
Lekar suhane sapno ki kaliya
Aake basa de palkon ki galiya
Palko ki chhoti si galiyan me
Nindiya aaja ri aaja
Dhire se aaja
Dhire se aaja ri ankhiyan me
Nindiya aaja ri aaja
Dhire se aaja
O jagti hai ankhiya soti hai kismat
Jagti hai ankhiya soti hai kismat
Dushman garibo ki
Hoti hai kismat
Soti hai kismat
Dam bhar garibo ki kutiyan me
Nindiya aaja ri aaja
Dhire se aaja
Dhire se aaja ri ankhiyan me
Nindiya aaja ri aaja
Dhire se aaja
Ho ankhen to sabki hain ek jaisi
Ankhen to sabki hain ek jaisi
Jaisi amiro ki
Garibo ki waisi
Garibo ki waisi
Kismat ke maaru ki ankhiyan me
Nindiya aaja ri aaja
Dhire se aaja
Dhire se aaja ri ankhiyan me
Nindiya aaja ri aaja
Dhire se aaja
Dhire se aaja
| Movie | Albela |
| Singer | Lata Mangeshkar, Chitalkar Ramchandra |
| Director | Bhagwan |
| Music Composer | Chitalkar Ramchandra |
| Lyricist | Rajinder Krishan |
| Star Cast | Bhagwan, Geeta Bali, Pratima Devi, Bimla Kumari, Sunder, Badri Prasad |

