Dekho Aaya Hai Kaisa Zamana Lyrics | Ghar Aakhir Ghar Hai | Shabbir Kumar | Roshan Lal

Dekho Aaya Hai Kaisa Zamana Lyrics | Ghar Aakhir Ghar Hai | Shabbir Kumar | Roshan Lal

Waqt ki aandhi ke aage
Jhukte takhto taz
Waqt hansaye waqt rulaye
Sab kuch waqt ke hath

Dekho aaya hai
O dekho aaya hai kaisa zamana
Bhai bhai me raha na aaj pyar
Dekho aaya hai
O dekho aaya hai kaisa zamana
Bhai bhai me raha na aaj pyar
Dekho aaya hai kaisa zamana

Kitne armano se tune tha ye mahal banaya
Tha ye mahal banaya
Jisko apna samjha wohi kaam na tere aaya
Kaam na tere aaya
Bikhar gaye the sare sapne
Ujad gaya gharbar
Ujad gaya gharbar tera ye
Dekho aaya hai
O dekho aaya hai kaisa zamana
Bhai bhai me raha na aaj pyar
Dekho aaya hai kaisa zamana

Jis bagiya ko sincha tune
Karta tha rakhwali
Karta tha rakhwali
Aaj tere hi samne uski
Bikhri dali dali
Bikhri dali dali
Patjhad aaya roye bulbul
Gul bhi huya gamsar
Gul bhi huya gamsar re malik
Dekho aaya hai
O dekho aaya hai kaisa zamana
Bhai bhai me raha na aaj pyar
Dekho aaya hai kaisa zamana

Ab kahe pachhtaye re tu
Karta tha mera mera
Karta tha mera mera
Uth gaya dana pani re
Panchhi kar le kahi basera
Kar le kahi basera
Is duniya me kon hai kiska
Sab rishte bekar
Rishte hai bekar yaha to
Dekho aaya hai
O dekho aaya hai kaisa zamana
Bhai bhai me raha na aaj pyar
Dekho aaya hai kaisa zamana

MovieGhar Aakhir Ghar Hai
SingerShabbir Kumar
DirectorPawan Kumar
Music ComposerRoshan Lal
LyricistB S Mahalwai
Star CastJaved Khan, Neelam Mehra, Padma Khanna, Kamal Kapoor, Ramesh Deo, Rajesh Puri

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *