Deewana Hoon Deewana Hoon Lyrics  | Zindagi | K.L. Saigal, Pahadi Sanyal | Kundan Lal Saigal | Pankaj Mullick

Deewana Hoon Deewana Hoon Lyrics | Zindagi | K.L. Saigal, Pahadi Sanyal | Kundan Lal Saigal | Pankaj Mullick

Deewana hoon deewana hoon
Raahat se main begana hoon
Raahat se main begana hoon
Deewana hoon deewana hoon
Raahat se main begana hoon
Raahat se main begana hoon
Dil ko kaise behlaaun main
Haan ye zakhm kise dikhlaaun main
Dil ko kaise behlaaun main
Ye zakhm kise dikhlaaun main
Aansu sun sun kar hanste hain
Kya dard bhara afsana hoon
Kya dard bhara afsana hoon

Aayi na bahar khizaan hi sahi
Aayi na bahar khizaan hi sahi
Ujde dil mein armaan hi sahi
Ujde dil mein armaan hi sahi
Hairaan hoon ki aakhir
Kya hoon main
Hairaan hoon ki aakhir
Kya hoon main
Aabad hoon ya viraanaa hoon
Aabad hoon ya viraanaa hoon

Ghayal hoon tum se door hoon main
Ghayal hoon tum se door hoon main
Par phoonk chuka majboor hoon main
Par phoonk chuka majboor hoon main
Aye shama balaayen le aa kar
Aye shama balaayen le aa kar
Aakhir main bhi parwana hoon
Aakhir main bhi parwana hoon
Aakhir main bhi parwana hoon.

MovieZindagi
SingerKundan Lal Saigal
DirectorP.C. Barua
Music ComposerPankaj Mullick
LyricistKidar Nath Sharma (Kedar Sharma)
Star CastK.L. Saigal, Pahadi Sanyal, Ashalata Wabgaonkar, Jamuna, Shyam Laha, Nemo, Sitara Devi, Vikram Kapoor, Rajani Rani, Manorama
LabelSaregama

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *